Sunday, August 24, 2008

Freebird

Aksar guzar jate hain zindagi mein kuch pal
Mil jayen agar to ubhar aata hai woh hasta hua kal

Nahi pata kal yaad karoge ab tum
Jaane se pehle kya baat karoge tum!

Najaane kis raste mein disha hai meri
dhoond kar aana munasib nahi abhi

Jaana hai us aasman ki kinnare pe
Nahi jaa sakte hum tumhare wahan hone se

Khuda gawah hai hum badlenge nahi
Tumhari ore ab dekhenge na kabhi

Khoye hue ko laana nahi raha woh farz
Humme nahi aata rukna eh khudgarz

Kal tha aur ab kal hai
Alvida! ab hamara waqt hai...